Hue paida jis kokh se,
karte uski na kadar,
leke dil mein haiwaniyat,
failate gandagi dar badar,
dekh ke badalti inki fitrat,
aata zehan mein yeh sawaal,
yeh kaisa mard hai,
jo deta sirf dard hai????
izzat dena gaye yeh bhool,
badalte roz inke usool,
zulm dena hua na band,
na toote kabhi inka ghamand,
dekh ke inke khaufnaak iraade,
aata zehan mein yeh sawaal,
yeh kaisa mard hai,
jo deta sirf dard hai????
na uthai aawaaz darindagi ke khilaaf,
kaisi insaniyat, kaisa insaaf,
na khaulta ab inka khoon,
sar pe bas, mardaanagi ka junoon,
dekh ke inki chupi namardaangi,
aata zehan mein yeh sawaal,
yeh kaisa mard hai,
jo deta sirf dard hai????
abhi bhi hai mujhe ye aas,
ki hoga inko jaldi ehsaas,
na chalti duniya sirf inke dum par,
ai besharam mard, kuch toh sharam kar,
dekh ke inki besharmi,
aata zehan mein yeh sawaal,
yeh kaisa mard hai,
jo deta sirf dard hai????